maiN reh gayaa akaila Zindagi kay melay maiN :-)

maiN reh gayaa akaila
zindagi kay melay maiN :slight_smile:

kuch loug milay bhee thay
saath challay bhee thay

laikin phir bhee
naa aaqbat andeshi thee

jo main samajh baiTThaa
apnay dil say keh baiTThaa

humraahiyouN ko maiN
apnaa dost samajh baiTTha

iss liye huvaa hay yeh
itnay baRRay majmay maiN

maiN reh gayaa akaila
zindagi kay melay maiN :slight_smile:

woh jo saath rehtay thay
dostouN say kehtay thay

meray baghair rehtay thay
tau bay chaiN say rehtay thay

kuch naa kuch ye kehtay thay
dau lafz hee bhej daitay thay

dost jin kay aaj hazaaroun haiN
mujh ko bhool baiTThay haiN

khush haiN, zindagi kay mailay maiN
rang bharay haiN jinn kay chehrouN maiN

maiN aaj afsurdah hooN
apnay aap say sharmindah hooN

kiouN aaj maiN zindah hooN?
iss zindagi maiN, mar saa gayaa hooN

issi liye tau aisaa hay
har taraf yeh charchaa hay

maiN reh gayaa akaila
zindagi kay melay maiN :slight_smile:

woh jo jaan daitay thay
meri khushiyouN maiN jeetay thay

aaj choRR gaye mujhay
maiN aaj door say unhaiN

jubb bhee daikhta hooN
apni zindagi pay rotaa hooN

aaj haiN unn kay dost kaie
rahaa naa mera abb koie

issi liye tau kehtaa hooN
yeh zindagi hay, aur maiN hooN

aik din ho gaa yeh
zindagi kaa melaa bhee

loug bhee wohi hongey
tum bhee yaheen hogey

mairaa dil yeh kehtaa hay
Anwaar naa ho gaa iss mailay maiN

maiN reh gayaa akaila
zindagi kay melay maiN :slight_smile:

Ye kia App ne akaila akaila lagayi hai.:mad:

wase nice poem.:snooty:

aap say matlab:hoonh:?

mairay akailay pann maiN dakhal dar maaqoolaat na karo :-S

sad.. but quite nice :k:

keep up the good work :stuck_out_tongue:

*aik din ho gaa yeh
zindagi kaa melaa bhee

loug bhee wohi hongey
tum bhee yaheen hogey

mairaa dil yeh kehtaa hay
Anwaar naa ho gaa iss mailay maiN

maiN reh gayaa akaila
zindagi kay melay maiN*

ahaan, bohat achi hai… :k::k:

mein reh gaya akaila
zindigi k mailey main

:frowning:

App akele ho ,ya akele rehna chuhthe ho :halo:.

Reminds me of something:

In Udaas Muskurahton Ke Peeche,Ghum Ke Railay Hain.
Ubb Tumhain Kya Batayain ,Ke Tum Bin Kitne Akele Hain.

[QUOTE]
*Originally posted by Muslim_Queen: *

In Udaas Muskurahton Ke Peeche,Ghum Ke Railay Hain.
Ubb Tumhain Kya Batayain ,Ke Tum Bin Kitne Akele Hain.
[/QUOTE]
:)

:teary1:…bohat khooob anwaar bhai :hug:…

lajavab:k::k::k:
keep it up and thanx:-/

:hug: :slight_smile:

ghazal kisi ke: :slight_smile:

:teary1: itta acha likha hai :teary1:
par AAP se aisi shairi sunna acha nahi lagta…dukhi wali… :frowning:

wese bohat achi hai…
aap bohat ache shair hein…apni book publish kerein na koee :smooth:

neways…thanx for sharing :hug:

book? zindah rahaa tau socchooN gaa :smiley:

knowing u its wrong…but excellent poetry :k:

how and what do u know about me?

If I see something and words simply come out of my tongue simply means it’s from me and it is right :slight_smile:

aese to nahi kehein…
pata hai…shairi dil se ki jaati hai…bun keh kerna mushkil hota hai…
itni achi shairi koee aesa hi insaan likh sakta hai jis pe beeeti ho…
or aap kese keh sakti hein aap unko jaanti hein…
unki zindagi ki saari kahaaniyon se aap waqif hein kya?
ya agar keh wahi kahaani hai jo aap samajh rahi hein…to kya aik insaan se sunne keh baad aap keh sakti hein keh baaqi log jo involved thhe unke dil mein kya hoga..woh kya sochte hon ge…unhoon ne kya khoya hoga..ya unka kya matlab ho ga..
nahi na?

to shairi parh ker aese nahi kehna chahiye keh knowing u its wrong…
cause shairi dil ka ayeena hota hai…is ko bun ker likhna mushkil hota hai..

wao..mein kya kya bol rahi hoon :eek:

:bummer:

i soud barri barri :hula:

beautifull :k:

congrats on 1 k :k: keep it up :k:

:konfused:

1 k? saaf saaf matlab bataa diyaa karo na bhai :slight_smile: i will take ur advice :slight_smile:

humm