Main ny chawal banaay:D

Re: Main ny chawal banaay:D


oh **maa~ ماء] ba_ma'nii paanii*...yeh 'Arabii zabaan kaa lafz hai aur Qur'aan-e-Paak men aayaa hai...Theek hai...samajh gayaa...vaise is lafz meN *Halaqii Huroof to koii nahiiN**** :)**

Re: Main ny chawal banaay:D

Mashallah bohat samajhdar hain aap.
Maya urdu main ain say likhtay hain iss lee-a main nay kaha tha. مايع
magar yeh farsi ka lafz nikla..

Re: Main ny chawal banaay:D

**maiN aur 'aql_Mand? lol…lagtaa hai aapne hijje durust nahiiN likhii…shaayad aap ****''aql_Band" ****likhaa chaahte the :smiley:

maiN ne to aaj tak URDU meN yeh lafz kabhii nahiiN paRhaa aur na hii kabhii kisii kii zabaanii sunaa…lagtaa hai yeh lafz Iran meN hii raa’ij hai…yeh lafz URDU kii ma’roof luGhat, Baba-e-Urdu Maulvii Abdul Haq kii “Firoz-ul-loGhaat” meN darj nahiiN hai is liye maiN kah saktaa huN k yeh lafz urdu meN muravvij nahiiN hai…maa~ bhii muravvij nahiiN…liquid ko urdu meN “RAQEEQ” kahte haiN :)**

Re: Main ny chawal banaay:D

maar kha kha rata tha, Urdu key science key kitab say, k maday key teen halateen hotee hain,
Thos , Maya aur gas.
Pakistan main use hota hay. Shayed India main nahi.

Rata laganay p yaad aya k
Yeh jumla ratna tha k Jhanday k girnay say gaoon waloon ka dill toot gaya , magar need k ghalbay key waja say jumla kuch yoon rat lee-a:

Gaoon waloon k girnay say jhaday k dill toot gaya.

Re: Main ny chawal banaay:D

Hum ne Ibtadai Science main Thos, Maya, Gas itna rata th ake yad hai ab tak :D
AbdulHaq ke zamny main nahi hu ga Urdu main :p

Re: Main ny chawal banaay:D

ho saktaa hai :smiley: **thanx for educating me…now, i learned a new word :smiley:

vaise, az rah-e-mizaah…Thos Hindi ka lafz hai aur Gas English kaa to yeh kaisa Urdu medium kaa school thaa? :cb:**

Re: Main ny chawal banaay:D

Urdu Lashkari zaban hai her zaban ke lafz shamil hu jatey hain ab tu English khalis nahi rahi waisy:p
Aur school ki books Wafaqi Board ki thin sarey Pakistan main I guesss same :smiley: AtleastPunjab main;)

Re: Main ny chawal banaay:D

remember Urdu lashkari zuban hay. hay k nahi ?

Re: Main ny chawal banaay:D

MYSTERY SOLVED!!!**

@Mirch Bhai.....jaise k aapne likha thaa aur us Farsi ke link meN bhii maujood thaa...us lafz kii HIJJE yeh thii**** ما ېع**** *[with Harf *"YE"*] jab k asl lafz hai *ما ئع**** [with Harf *"HAMZAH"] in it...i found this word* in the reputed urdu dictionary**** [Firoz-ul-loGhaat]**** :)

everyone is HAPPY now? :D**

Re: Main ny chawal banaay:D

^-^ Bacha bghal main dhindora shehr main Lafz wahan tha aur shor nahi hai:smack2:waisey woh Google translate si is ko ye alif ya se hi dikha rahi hai hamza+aain se option hi nahi hai:naraz:**

Re: Main ny chawal banaay:D


**lashkarii zabaan to hai magar ab na to lashkar rahe aur na hii vo zaroorat e zabaan...ab to angrezii ne vo maqaam Haasil kar liyaa hai aur ham urdu bolne waale Khud apnii zabaan ko zibaH kar rahe haiN...

...farsii aur arabi ke karoRoN alfaaz aise hoNge jo urdu meN muravvij nahiiN is liye vo qaabil-e-qubool bhii nahiiN ho sakte zabaan kii roo se...to, yeh kahnaa munaasib na hogaa k chuN k yeh farsi yaa arabi zabaan kaa lafz hai is liye ise urdu meN musta'mil karnaa jaaiz hai :)

oops! is thread ka ham logoN ne Hashar nashar kar diyaa...sorry Goodnews! :(**

Re: Main ny chawal banaay:D

yeh transliteration kaa qusoor hai…zabaan kaa to nahiiN :smiley:

Re: Main ny chawal banaay:D

Mirch and KKF

agar aap dono hazrat itna taradud na kartay lafz Maya ki research karnay main tou hum sab log ye jan'nay se mehroom reh jatay ke ye lafz farsi ka hai.

Aap dono ka bohat bohat shukria.

Re: Main ny chawal banaay:D


shukria bahot bahot...vaise, yeh bhii ek musallim Haqeeqat hai k do logoN kii laRaaii/jhak jhak/bak bak/nok jhoNk/makaalmaat meN **TEESRE kaa hameshaa bhalaa hotaa hai****.....isii liye:

*kar bhalaa, ho bhalaa!* :)**

Re: Main ny chawal banaay:D

^Ye aap ne kafi achi baat ki hai. Mujhe ye kehtay hovi khushi ho rahi hai ke iss sari situation main mera role teesray aadmi ka tha.

Re: Main ny chawal banaay:D


shukria shukria... :)

Re: Main ny chawal banaay:D

:snooty:

Ye guftagoo yahan pe khatam hoti hai.

Re: Main ny chawal banaay:D

^-^ Andaza kijey :mash: Good News ke kiya Beynazeer chawal baney ke is qdar Ilmi o Adbi & Scincei qisam ke mubahis hu rahy hain jin ke thread main. SybhanAllah @ Sajalina shukriya hisa baqdar-e-Jusa lainey ka :stuck_out_tongue:

Re: Main ny chawal banaay:D

baqadr-e-what?
Ye aap ne koi naya lafz ijaad kiya hai? :konfused:

Re: Main ny chawal banaay:D

Spelling new hu sakty hain jahan tak lafz ya Murakaby something ka taluq hai niy anahi kafi purana hai