Koyal
1
***
vusa’t-e-chashm ko andoh-e-basaarat likhaa
maiN ne ik vasl ko ik hijar kii haalat likhaa
maiN ne likha k safaa-e-dil kabi khaalii na ho
aur kabi Khaalii ho bhi to malaamat likhaa
maiN ne paravaaz likhi hadd-e-falaq se aage
aur be-baal-o-parii ko bhii nihaayat likhaa
maiN ne khushbu ko likha dastaras-e-gum-shudgi
rang ko faasalaa rakhane kii riyaayat likhaa
zaKhm likhane ke liye maiN ne likhi hai Gafalat
khuun likhna tha magar maiiN ne haraarat likha
maiN ne taabir ko taharir meiN aane na diyaa
khvaab likhate hu_e mohataaj-e-basharat likha
koii aasaan rafaaqat nahiN likhii maiN ne
qarb ko jab bhi likhaa jazb-e-raqaabat likhaa
itane daao.n se guzar kar ye Khayaal aataa hai
‘K’ kyaa tum ne kabhii harf-e-nadaamat likhaa
Pramod
3
wow..beautiful ghazal.
thanks for sharing..
K_Khan
8
very nice Koyal

PS: likhte likhte haath naheen thakai 
Koyal
10
[QUOTE]
*Originally posted by Pramod: *
wow..beautiful ghazal.
thanks for sharing..
[/QUOTE]
:)
Re: maiN ne khushbu ko likha dastaras-e-gum-shudgii
[QUOTE]
Originally posted by Koyal: *
**
vusa't-e-chashm ko andoh-e-basaarat likhaa
maiN ne ik vasl ko ik hijar kii haalat likhaa
maiN ne likha k safaa-e-dil kabi khaalii na ho
aur kabi Khaalii ho bhi to malaamat likhaa
maiN ne paravaaz likhi hadd-e-falaq se aage
aur be-baal-o-parii ko bhii nihaayat likhaa
maiN ne khushbu ko likha dastaras-e-gum-shudgi
rang ko faasalaa rakhane kii riyaayat likhaa
zaKhm likhane ke liye maiN ne likhi hai Gafalat
khuun likhna tha magar maiiN ne haraarat likha
maiN ne taabir ko taharir meiN aane na diyaa
khvaab likhate hu_e mohataaj-e-basharat likha
koii aasaan rafaaqat nahiN likhii maiN ne
qarb ko jab bhi likhaa jazb-e-raqaabat likhaa
itane daao.n se guzar kar ye Khayaal aataa hai
'K' kyaa tum ne kabhii harf-e-nadaamat likhaa
[/QUOTE]
Salaam
Behtareen intekhaab
kiyaa baat hai
iss likhnay likhanay ki ghazal ko paRh kar hamen bhi kuchh yaad aagaya!!
Bistar e naaaz ko dekha jo shikan say khaali
bay hissi mainay likhi uss nay saleeqa likhaa
jab kahaa mainay laga rehta hai dhRka dil ka
uss nay dil dekh dawa sochi dilasaa likhaa
khush rehiyay
Koyal
16
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Nice Koyal G.
[/QUOTE]
thanks WG..:)
Koyal
17
Re: Re: maiN ne khushbu ko likha dastaras-e-gum-shudgii
[QUOTE]
*Originally posted by Mirza Ruswa: *
Salaam
Behtareen intekhaab
kiyaa baat hai
iss likhnay likhanay ki ghazal ko paRh kar hamen bhi kuchh yaad aagaya!!
Bistar e naaaz ko dekha jo shikan say khaali
bay hissi mainay likhi uss nay saleeqa likhaa
jab kahaa mainay laga rehta hai dhRka dil ka
uss nay dil dekh dawa sochi dilasaa likhaa
khush rehiyay
[/QUOTE]
wowww ap kahan se a jatey achanak unkle mirza......and thanks for adding sum sher..:)
Koyal
18
shukria…haan koyal nice tu hai na 
PS: thaak tu gaye they ab kia karen LOGO k leay likhna he parta na 