apnii rusvaaii tere naam ka charchaa dekhuun
ek zaraa sher kahuun aur main kyaa kyaa dekhuun
neend aa jaaye to kyaa mehfilen barpaa dekhuun
aankh khul jaaye to tanhaaii kaa sahara dekhuun
shaam bhii ho gaii dhundhlaa gaii aankhein bhii merii
bhoolnevaale main kab tak teraa rastaa dekhuun
sab ziden us kii main puurii karuun har baat sunuun
ek bachche kii tarah se use hanstaa dekhuun
mujh pe chhaa jaaye vo barsaat kii khushbuu kii tarah
ang ang apnaa usii rut mein mehektaa dekhuun
tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii mein aataa hai koii aur bhii tujh saa dekhuun
main ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
khwaab ban kar terii aankhon mein utartaa dekhuun
tuu meraa kuchh naheen lagtaa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyon tere liye dil ko dhadaktaa dekhuun