Main ne dil se kaha
Ay diwane bata
jab se koi mila
Tu he khoya huwa
ye kahani he kya
he ye kya silsila
ay diwane bata
main ne dil se kaha
Ay diwane bata
Dharkano main chupi
Kaise awaz he
kaisa ye geet he
kaisa ye saaz he
kaise ye baat he
kaisa ye raaz he
Ay dewane bata
Mere dil ne kaha
jab se koi mila
chand tare fizza
phool bhuware hava
ye hasin wadian
ye neela asmaan
sab he jaise naya
mere dil ne kaha