Main ne chand or sitaron ki tamanna ki thi
**Mujh ko raton ki seahi ke sewa kuch na mil **
Main wo nagma hoon jise pyar ki mehfil na mili
Wo musafir hoon jise koi manzil na mili
Zakham paiy hain,bahaaroon ki tamanna ki thi
Main ne chand or sitaron ki tamanna ki thi
**Kisi gaysou, kisi anchal ka sahara bhi **
Rastay main koi dhundla sa sitara bhi nahin
Meri nazaron nay nazaron ki tamana ki thee
Main nay chand or sitaron ki tamana ki thi
Dil main nakaam umeedon k basayray paay
Roshni laynay ko nikla to andharay paay
Rang aur noor ki dharon ki tamana ki thi
Main nay chand or sitaron ki tamana ki thi
Main nay chand or sitaron ki tamana ki thi
Mujh ko raton ki siahi k siwa kuch na mila
**Meri rahon say juda ho gain rahain un ki **
Aaj badli nazar ati hain nigahain un ki
Jin say is din nay saharon ki tamana ki thi
Main nay chand or sitaron ki tamana ki thi
Pyar manga to sisktay hoay arman milay
Doobtay dil nay kinaron ki tamana ki thi
Main nay chand or sitaron ki tamana ki thi
(Sahir Ludhianvi)
Re: Main ne chand or sitaron ki tamanna ki thi
Now don`t say it too has been posted before
…and is it only me who is seeing those damn things around the actual words…I cannot fix it since I am a GUEST ![]()
Re: Main ne chand or sitaron ki tamanna ki thi
kisi ek cheez ki tamana karty to shaied mil hi jati :D
Re: Main ne chand or sitaron ki tamanna ki thi
:D Yaar, mangaa too sirf Chand hee thaa...sitaray too BONUS main miltay hain naa...:D
Re: Main ne chand or sitaron ki tamanna ki thi
nice…:k:
Re: Main ne chand or sitaron ki tamanna ki thi
^^^ Thanks REET. :)
Re: Main ne chand or sitaron ki tamanna ki thi
![]()
Re: Main ne chand or sitaron ki tamanna ki thi
Is it okie now ![]()
Wesay Here You will find LOTS Of SAHIR’s Fans.. so.. If U wana Read more …
Check This
Re: Main ne chand or sitaron ki tamanna ki thi
Thanks GS for the link.:)
And thanks for editing my post. One more favour, give a break before starting of "main nay chand aur sitaroon ke tammana kee thee"