MaiN Nay Tum Ko Yaad KiA

Chahat Kay Is Dharaye Per,
Darya Or Kinaray Per
DIL Ko Aaj Azaad Kia ,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Tanhaii Ki Raton Main,
Khud He Baton Baton Main
Is DIL Ko Yoon Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Jab Say Tum Ko Dekha Hay,
Jab Say Tum Ko Chaha Hay,
Har Aik Pal Faryaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Is Jiwan Kay Nisaabon Main,
Or Raton Kay Khawabon Main,
Jaag Kay Bhi DIL Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Phool K Khilnay Say Phelay,
Tum Ko Milnay Say Phelay,
Khud Ko Tou Barbadd Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia…!

Re: MaiN Nay Tum Ko Yaad KiA

Nice :)

Re: MaiN Nay Tum Ko Yaad KiA

nice one kakay

khoob yad kia

Re: MaiN Nay Tum Ko Yaad KiA

wah :k:

Re: MaiN Nay Tum Ko Yaad KiA

Achi poem hay, bus hamein kharab kar dya hay. hahaha

Kisi ki yaad dilla gayi :)

Re: MaiN Nay Tum Ko Yaad KiA

:cheer:nice

Re: MaiN Nay Tum Ko Yaad KiA

thank you everyone

Re: MaiN Nay Tum Ko Yaad KiA

Bohat Khoob :k:

Re: MaiN Nay Tum Ko Yaad KiA

Thank you