Hi guys..
This is late night thoughts ..and I hope you will like it..
Binjaaro’n ko kaflay say sir jukha kay nikaltay daikha hai…
Main nay sehra ko piyaas say sulgtay hoay daikha hai..
Shaam hotay hee tanhai ko buntay sunwartay be daikha hai..
main nay khud ko sisktay, simatay bachay kee tarah daikha hai..
Teri yaad kay nageenoo ko kissi tasbeeh kee tarah paroya..
Jab buhat dinnon kay baad apnay aap ko aynay main daikha hai..
woh tuo thee, teray payaloon kee chap ya meray kanoon ka dokha..
Ik sada thee kay kissi nay meray mujrooh Ajnabi ko daikha hai..
In this poem, you will find that ‘Istaara’ is Shaam, Tanhai aur main.
Shukria
Ajnabi