main nay daikha tha un dinon main ussay
jab wo khiltay gulab jaisa tha
us ki palkon say neend chanti thi
us ka lehja sharaab jaisa tha
us ki zulfoon say bheegti thi ghata
us ka rukh mahtaab jaisa tha
log parhtay thay khal-o-khad us kay
wo adab ki kitaab jaisa tha
bolta tha zuban khushboo ki_!
log suntay thay dhadknon main usay
main nay daikha tha un dinon main ussay
saari ankhain thin aainay us kay
saaray chehray main intikhaab tha wo!
sab say ghul mil ka ajnabi rehna
aik darya numa sarab tha wo !
khwaab yeh hai ke wo “haqeeqat tha”
yeh haqeeqat hai koi khwaab tha wo
dil ki dharti pe aasman ki tarah
soorat-e-saaya-o-sahab tha wo
apni neendain usi ki nazar huin
main nay paya tha ratjagoon main ussay
main nay daikha tha un dinon main ussay
jab wo hans hans ke baat karta tha
dil ke khaimay main raat karta tha
rang parhtay thay aanchaloon main ussay
main nay daika tha un dinon main ussay
ye magar dair ki kahani hai
ye magar door ka fasaana hai
us kay meray malaap main hai’l
ab to sadiyon bhara zamana hai
ab to yun hai ke haal apna bhi
dasht-e-hijran ki sham jaisa hai
kaya khabar in dinon wo kaisa hai?
main nay daikha tha un dinon main ussay