main nain aksar dekha hay...

main nain aksar dekha hay..
jo bhi insaa kerta hay..
us karni ko bharta hay..
main nain aksar dekha hay..

bus ik yehi hay wajah..
main ab aksar darti hun..
aur ye socha kerti hun…
main nain jisko chaha kaash!!!
..bewafa wo na hota!

Re: main nain aksar dekha hay...

:(

Re: main nain aksar dekha hay…

apko kia hogya??? :hehe:

Zabardast Meenu.

I knew that who comes in your dreams.

Re: main nain aksar dekha hay...

:) aisa nahin hay :)

Re: main nain aksar dekha hay...

its so nice .....

Re: main nain aksar dekha hay...

usne sukuut-e-shab meN bhii apnaa payaam rakh diyaa
hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa meN aam thii
maiN ne bhii ik chiraaG saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

shiddat-e-tishnagii meN bhii Ghairat-e-maikashii rahii
us ne jo pher lii nazar maiN ne bhii jaam rakh diyaa

dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm haiN
maiN ne to sab hisaab-e-jaaN barsar-e-aam rakh diyaa

*us ne nazar nazar meN hii aise bhale suKhan kahe
maiN ne to us ke paaNv meN saaraa kalaam rakh diyaa *

aur “Faraz” chaahiiye kitanii muhabbateN tujhe
ke maaoN ne tere naam par bachchoN ka naam rakh diyaa

Re: main nain aksar dekha hay...

:)

Re: main nain aksar dekha hay...

*good work ... keep it us... thanks for sharing *

zindagi k din kese bhi hon guzar jayen gay
1 din hum bhi chupky se mar jayen gay
aaj rahty hain aap k dil main yaad ban k
kal ankho se anso ban k nikal jayen gay.........

*Zindagi kis tarha bitao gay,
Pass jab apne humen na pao gay
din main tanhai sataye ge
raat ko chonk k uth jao gay
raat bhar neend kun nahi ati
ye khud bhi samajh na pao gay.
log pochen gay is tanhai ka sabab
kya chupao gay? kya batao gay?
palkhen har bar bheag jayen ge
jab kabhi barish main bheg jao gay
khud ko tanha na pa sako gay kabhi
har jagah mera hai aasks pao gay. . . . . . . . . . . .
*