**
Main Nahi Janta
Ke Hijr Acha Hota Hai Ya Wisaal…!
Ke Hijr To Wo Mulaqaat Bhi Hai Jo
Andeshon Or Wehamon Ke Darmiyaan Guzar Jaey
Or Wisaal To Woh Doriyan Hain Jo
Her Raat Teri Yaad Aaney Per Fasaley Khatam Ker Den
Main Nahi Janta
Ke Khuwaab Achey Hote Hain Ya Haqiqat…!
Ke Khuwaab To Wo Lamhey Hain
Jo Haqiqat Ki Talaash Main Khoo Jaein
Or Haqeqat To Wo Khuwaab Hain
Ke Jin Ki Tabeer Mein
Ik Dukh Bhari zindaqi Guzarni Parey
Main Nahi Janta…!**