Main na paas uss ko bula sakaa, naa main dil ki baat suna sakaa
Wo hansi hansi me hi chal diya ke main haath tak na hilaa sakaa
Naa hai dosti kissi din se, ab naa hai dushmani kissi raat se
Hai bacha hi kya jo wo le gaya, mujhe cheen kar meri zaat se
Yeh muqaam hi tha ajeeb sa ke main khud ko bhi na bacha sakaa
Naa main uss ko paas bula sakaa naa main dil ki baat suna sakaa
Yeh bhi theek hai wo chala gaya mujhe band raaste per chorr kar
Yeh bhi theek hai ke wo naa aaye ga Anaa apni ko chorr kar
Wo judaa bhi kesse hua ke main koi rasam tak na nibha sakaa
Naa main uss ko paas bula saka Naa dil ki baat suna saka
Re: Main na paas uss ko....
beautiful :)
Re: Main na paas uss ko....
Superb,
Thanks for sharing