main kya likhu?
muhbat kaainati was’atoon say bhi
kahi agay ki lamehdood wasa’t hai
kisi chehray ko ankho aur khuwabo ki dua par naqsh karna
is kay baray main sochna
aur apni har kuwahish ko bus us zaat tak mehdood karlena
mohbat hai
thatharti absharoo-n gubadoo-n main gonjati bechainio kay darmiya rahna
har ek mousam ko apny andarooni musamoon ki zud main layana
kabhi mil kay kis say
bekhabar, adhay samandar tak safar karna
kabhi tanha kisi sahil pay akay dair tak lehroo ko ginna
aur khala main dekhtay rahna muhbat hai
kisi khoiy huway ko ghair iradi tor par
har ajnabi chehray main aksar dhondtay rahna
hamesha bekhyali main
kitaboo’n, chand taroo-n, badloo-n par
is kay baray main jhilmilati baat klikh dena
ya phir kuch likh kay mita dena
kabhi rangoo ki lehroo par
usay besoot hontoo say sada dena
sada bazgasht aur gonj main dhal kar
khlaoo’n say tahi daman plat’tay dekhna
aur phir sada dena
mohbat hai
main kya likhu
kabhi asa bhi hota hai
bohat hi roth kar naraz hokar
napasandeeda khyaloo-n, nafratoo-n ki oot say
ya mukhtalif heelo bahanoo say
kisi ko jhanktay rahna
kisi ko sochtay rahna
woh manay ya na manay bus usay likhna usay kahna
** muhbat hai*
Re: main kya likhu?
very true:k:
Aray nahi bhai hum to pakorray khanay ke shooq main chalay atay hain
:k:
thanks guyz :)
:k: nice one chand g..![]()
…nice:flower1:
thanko koyal gi and broken sky :)
Re: main kya likhu?
Beautiful ![]()
[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *
thanko koyal gi and broken sky :)
[/QUOTE]
kitaboo'n, chand taroo-n, badloo-n par
is kay baray main jhilmilati baat klikh dena
ya phir kuch likh kay mita dena
kabhi rangoo ki lehroo par
usay besoot hontoo say sada dena
sada bazgasht aur gonj main dhal kar
khlaoo'n say tahi daman plat'tay dekhna
:)