Lamhay
1
Dhoop main chaaon, andheray main diya ho jana
Kitna mushkil hai kisi dukh ki dawa ho jana
Main kisi lamha-e-maqbool main maangoon ga tumhain
Tum bhi us lamhay masroof-e-duwa ho jana
Aisa lagta hai ta’aluq nahi toota tujh say
Zakhm-e-dil ka teray dekhay say hara ho jana
Kabhi jub dhoop ki shiddat nay safar rok diya
Yaad aaya teray gaisoo ka ghata ho jana
‘Foz’ ab koo-e-malamat say guzarna hai mujhay
Tum kisi morr per chaho to juda ho jana!!!
Bahut lajawaab … Umdah :k:
Welcome back Lamhay
Lamhay
3
Re: "Main kisi Lamha-e-maqbool main mangoonga tumhain…!!!
thanks …main back hi hoon
Aati jaati raha karain, Poetry forum ko aap ke khoobsurat intekhaab ka hamesha intezaar rehta hai … 
Koyal
5
Re: "Main kisi Lamha-e-maqbool main mangoonga tumhain…!!!
welcome back arif and lamhay 
Thank you Koyal Jee …
Aap kahaan gumm rehti hain ?
Lamhay
7
Re: "Main kisi Lamha-e-maqbool main mangoonga tumhain…!!!
thanks koyal 
Dania
8
Re: "Main kisi Lamha-e-maqbool main mangoonga tumhain…!!!
:k:
Aryaan
9
Re: "Main kisi Lamha-e-maqbool main mangoonga tumhain…!!!
Very Nice Lamhay…
Ali_2
10
Re: "Main kisi Lamha-e-maqbool main mangoonga tumhain…!!!
awesome :k:
Lamhay
11
Re: "Main kisi Lamha-e-maqbool main mangoonga tumhain…!!!
thanks Dania,aryaan and Ali…