Lamhay
1
**
Dhoop main chaaon, andheray main diya ho jana
Kitna mushkil hai kisi dukh ki dawa ho jana
Main kisi lamha-e-maqbool main maangoon ga tumhain
Tum bhi us lamhay masroof-e-duwa ho jana
Aisa lagta hai ta’aluq nahi toota tujh say
Zakhm-e-dil ka teray dekhay say hara ho jana
Kabhi jub dhoop ki shiddat nay safar rok diya
Yaad aaya teray gaisoo ka ghata ho jana
‘Foz’ ab koo-e-malamat say guzarna hai mujhay
Tum kisi morr per chaho to juda ho jana!!!
**
Daagh
2
nice one lamhay jee
Main kisi lamha-e-maqbool main maangoon ga tumhain
Tum bhi us lamhay masroof-e-duwa ho jana
wah wah 
Re: Main kisi lamha-e-maqbool main maangoon ga tumhain..!
[QUOTE]
Originally posted by Lamhay: *
*
Dhoop main chaaon, andheray main diya ho jana
Kitna mushkil hai kisi dukh ki dawa ho jana
Main kisi lamha-e-maqbool main maangoon ga tumhain
Tum bhi us lamhay masroof-e-duwa ho jana
Aisa lagta hai ta'aluq nahi toota tujh say
Zakhm-e-dil ka teray dekhay say hara ho jana
Kabhi jub dhoop ki shiddat nay safar rok diya
Yaad aaya teray gaisoo ka ghata ho jana
'Foz' ab koo-e-malamat say guzarna hai mujhay
Tum kisi morr per chaho to juda ho jana!!!
**
[/QUOTE]
Tum kisi morr per chaho tu juda ho jaana...
Xcellent stuff, once again ... thanks for sharing Lamhay
zidee
4
Re: Main kisi lamha-e-maqbool main maangoon ga tumhain..!
[QUOTE]
Originally posted by Lamhay: *
*
Dhoop main chaaon, andheray main diya ho jana
Kitna mushkil hai kisi dukh ki dawa ho jana**
[/QUOTE]
excellent! really enjoyed this first shair!
Lamhay
5
Thanks Daagh , Amarbail and Zidee!
wah......
kuch yaad aa giya.....may be isi ghazal ke houn ya kisi aur kay..!??
~ pehlay dekho tau sahi apnay karam ki wus`at
phir baray shouq se tum meray Khuda ho jaana
ab meray waastay taryaaq hai alhaad ka zehr
tum kisi aur pujaari kay Khuda ho jaana
Lamhay
8
[QUOTE]
*Originally posted by Mehrtaab: *
wah......
kuch yaad aa giya.....may be isi ghazal ke houn ya kisi aur kay..!??
~ pehlay dekho tau sahi apnay karam ki wus`at
phir baray shouq se tum meray Khuda ho jaana
ab meray waastay taryaaq hai alhaad ka zehr
tum kisi aur pujaari kay Khuda ho jaana
[/QUOTE]
thanks mehartaab
I read it so i posted :) issliye itna hi maloom hai ..!