DADDU
1
koun mere hai is zamane main
kisko main apni dastaan kehta
mai kafas main hoon aik mudat se
kis tarha usko aashiyaan kehta
mai he mallaha tha apni kashti ka
kiya main naao ko be karaan kehta
khud he manzil se door rehta hoon
dar badar kesey karwaan kehta
gham tha mazi mera hai haal wohi
kho gayee hai khushi kahaan kehta
khud se nazrain churaye phirta hoon
mai kisi ko kia badgumaan kehta
zindagi maut si hai meri yahaan
maut ko kesey meharbaan kehata
Re: main kia kehta
sign aah beeeautiful ghazal Daddu mian, dil ko chho gayi 
DADDU
4
Re: main kia kehta
jo baat dil ko na bhaye to uska zikar kia karna
fasana dard ka na ho to uska zikar kia karna
sabhi ko gham hain duniya main humain kuch hai tumhain kuch hai
chalo jab zindagi gham hai to gham ki fikar kia karna
system
6
Re: main kia kehta
zindagi maut si hai meri yahaan
maut ko kesey meharbaan kehata
As usual... It's wonderful Daddu jee :-)