Tum se nfarat bhi hai mujhko aur mohabat bhi karoon
ik pareshani main hoon main kia karoon ki na karoon
sochta hoon tum ko kehdoon har gila tumse jo hai
dil dukhana bhi nahi chahta tumhara kia karoon
jee raha hoon is tarha jesey ke main zindag nahi
zindagi se bhi shikayat ye karoon to kia karoon
itna tanha ho gaya hoon mai khud apney aap main
dil kisi bhi bazam main lagta nahi main kia karoon
rok leta hoon jo aansu dil kabhi roaye agar
aankh jo bhar aaye gham se tab bhala main kia karoon
khud chuna apna muqadar jo mujhey manzoor tha
kaatibe takdeer se koi gila main kia karoon