main khud ...

**mai khudd zamee’n hoo’n magar zarf asman ka hai
k toot karr bhi mera hausla chattan ka hai

bura na maan merey harf zehr zehr sahii
mai kya karoo’n k yahi zaayeqa zabaan ka hai

bichharhte waqt se mai ab talak nahii roya
wo keh gaya tha yahi waqt imtehaan ka hai

harr aik ghar pe musallat hai dill ki veeraani
tamam shehr pe saya merey makaan ka hai

ye aur baat adalat hai be-khabar warna
tamam shehr mai charcha merey bayaan ka hai

asar dikha na saka uskey dill mai ashk mera
ye teer bhi kisi tutii hui kamaan ka hai

qafas tau khair muqaddar mai tha magar MOHSIN
hawa mai shaur abhi tak meri urrhan ka hai **

Re: main khud ...

**bura na maan merey harf zehr zehr sahii
mai kya karoo'n k yahi zaayeqa zabaan ka hai

ek dafa mujhe Malaria hua tha.. uss main munh ka zaiqa aisa ho jata hai :(
**

Re: main khud …

zabardsat sharing:dania wow:clap:

Re: main khud ...

Bohat Khoob........bichharhte waqt se mai ab talak nahii roya......... wo keh gaya tha yahi waqt imtehaan ka hai

Re: main khud ...

nice sharing