Adab Doston
Shaeri main guzashta 7 baras say ker raha hon yeh meri kaafi purani aur pasandeeda ghazal hay jo aap logon ke khidmat main paish kernay ke jurrat kerta hon.Aap logon ke mufeed araa aur tanqeed ka muntazir rahon gaa.
Main Kaisay Bhool Jaaon Un Haseen Raaton Ko…
Un Haseen Raaton Kee Bheegi Barsaaton Ko…
Bheegi Barsaaton Kee Rangeen Mulaqaaton Ko…
Rangeen Mulaqaaton Kee Taweel Baaton Ko…
Main Kaisay Bhool Jaaon Tere Sard Haathon Ko…
Mere Haathon Main Diye Gai Waadon Ko…
Un Waadon Main Dee Gai Qasmon Ko…
Un Qasmon Ko Nibhanay Kee Baaton Ko…
Main Kaisay Bhool Jaaon Tere Jheel See Ankhon Ko…
Un Ankhon Main Kisi Aur Ko Paanay Kee Duaaon Ko…
Un Duaaon Main Phir Bheegti Nigahon Ko…
Bheegti Nigahon Main Aatay Jatay Khwabon Ko…
Main Kaisay Bhool Jaaon Un Kuch Loagon Ko…
Un Loagon Main Kuch Apnon Aur Ghairon Ko…
Un Apnon Kay Badaltay Huay Cheron Ko…
Main Kaisay Bhool Jaaon,Main Kaisay Bhool Jaaon
Shr
Schaa Hussain Rabbani