main k jo waqefay adab-e-mohabbat hi nahi

main k jo waqefay adab-e-mohabbat hi nahi
kasay keh doon k mohabbat ki jaren muj main namo pateen hain
konplen phoot k shakoon say nikal atti hain
mayra hamzad jo bay wajah stata hay mujay
aks ik aur hi aena dikhata hay mujay
main k jo waqefay adab-e-riyazat hi nahi
kasay keh doon k sitaroon ko gina jata hay
wo sitaray sar-e-mayygaaa jo chirakhaan kar day
raat ko din tu, sahar ko wo drakhshan kar den
main nay bhi ki hay riyazat
riyazat … jo rastay ko bhi manzill kar day
main k jo waqfay adab-e-mohabbat hi nahi
kasay keh doon k yaqeen hi tu Khuda hota hay
main k na karda o karda ki aseer
main gunahgarr siya kar khtakar zameer
main k jo waqfay adab-e-mohabbat hi nahi

Re: main k jo waqefay adab-e-mohabbat hi nahi

hmmmmmmm very beautiful.

Re: main k jo waqefay adab-e-mohabbat hi nahi

very nice Savenstar!

Re: main k jo waqefay adab-e-mohabbat hi nahi

Thank you dear sis.

Re: main k jo waqefay adab-e-mohabbat hi nahi

Buhat Zabardast Choice:) Thanx for shairing