Tumhari gali kay ilava bhi aur qarye hain
Jo iss diyaar se nikloon tu aur kuch soochon
Tumharay hijir ki sadyaan, tumharay vasl kay din
Main iss shumaar say nikloon tu aur kuch soochon
Racha hua hai taira ishq mairi pooron main
Main iss khumaar say nikloon tu aur kuch soochon
Yeh maira jism kay matam sarae hasrat hai
Main iss mazar say nikloon tu aur kuch soochon
Yeh mujh main kuon mairay raat din sambhalta hai
Iss ikhtiyar say nikloon tu aur kuch soochon
Tumharay jism ki khushbo nay ker diya mehsorr
Iss aabshar say nikloon tu aur kuch soochon
Yeh be-qarari mairi roh ka ujala hai
Main iss qarar say nikloon tu aur kuch soochoon…
BY:
Vasi Shah*