Main hoon jis haal main ai mere sanam rehne de

kabhi kabhi yoon bhi hamne apne hi ko behlaayaa hai
jin baaton ko khud nahin samjhe auron ko samajhaayaa hai

hamse poochho izzat vaalon ki izzat kaa haal kabhi
hamne bhi is shahar main (forum main :)) rah kar thodaa naam kamaayaa hai

usase bichhade barson beete lekin aaj na jaane kyon
aangan main haste bachchon ko bekaaran dhamakaayaa hai
koi milaa to haath milaayaa kahin gaye to baaten ki
ghar se baahar jab bhi nikale din bhar bhoj uthaayaa hai

Main hoon jis haal main ai mere sanam rehne de

*main hoon jis haal main ai mere sanam rehne de teg mat de mere haathon main qalam rahne de* * main to shaayar hoon meraa dil hai bahut hi naazuk main pataake hi se mar jaaoongaa, bum rahne de **mehbooob vaadaa kar ke bhi aayaa na dosto kyaa kyaa kiyaa na ham ne yahaan us ke pyaar main* * murghe churaa ke laaye the jo chaar "Popular" "do aarzoo main kat gaye, do intezaar main" *