Main girah main bandh k hadsaat , nikal para tere khoj main Khaee tar’kol ke thi sadak jahan aag bant-ti dhoop thi kabhi kachi rah ke dhool main jahan sans laina muhaal tha sir-e-rizm-e-jaa’n kabhi dil k dard say haar ker
**main to khanqaoo’n pay mangta phira maana’tain **
**kabhi raat raat basar duaoo’n main ho gai ** kabhi qaaflay mairee ass k kisi dasht-e-yaas main kho ga’ay
**mera pairhan tha phata hoa kahen gard gard atta hoa ** main adhooray pan k sarab main tujhay dhondta phira dar ba dar kisi ajnabi k diyaar main koi dukh mila kisi mod pay , koi gham mila kisi chok main
**kisi rah guzar k sakoot main koi dard aa k dara gaya ** kabhi chal para , kabhi ruk gaya , kisi kashma’kash k ghubaar main mujhay kya mila teray piyar main
**main girah main bandh k hadsaat ** kaheen gum hoa tere khoj main !!!