**Main ghar sey duur hota hon, tu ghar awaaz deta hai
Key jaisey abr ko kanj-e-shajr awaaz deta hai
Mein jab kamrey mein jaa ker muskarana bhool jata hon
Dareechay gunguna uthtay hain, dar awaaz deta hai
Parindon sey kaho ke shaam sey pehley palat aayein
Hawayein shor karti hain, nagr awaaz deta hai
Koi tu hai abhi jo muntazir us paar mera hai
Koi tu hai barabar jo udhar awaaz deta hai
Abhi pichli musaafat ki thakan utri nahi “Shaukat”
Magr mujh ko koi taza safr awaaz deta hai**
Shaukat Hashmi
Abhi pichli musaafat ki thakan utri nahi "Shaukat"
Magr mujh ko koi taza safr awaaz deta hai
bohat khoob
Azad
5
Magr mujh ko koi taza safr awaaz deta hai
haan na yaar kabhi kabhi to jee karta hay .. iss awaz daynay walay ka mou hi band kar lain .. bhari pathar rakh kay... kisi jaga tiknay hi nahi dayta