~~~main ek LARKA AAM SA ~~~

mai kya ??
kya mrii hastii … kya meri ukat
mai ek larka aam sa …

nah hi koi shoki …nah koi andaze biyhan hai
nah hi hai lehja be-masal .. nah mjhe mai koi kamal hai
mai ek khani un chui si … mai ek kisa na-tammam sa
or dikhnay mai b aam sa … MAI LARKA EK AAM SA..

kabhi shoor machata hua … kabhi khil- khla ke hansta hua ..
kabhi kushi mai jhumta hua …khushyian bikharta hua …
to kabhi tanha tanha … afsurda afsurda sa ..
kabhi khud mai khoya khoya … akele main roya roya sa …
kabhi udisyioo ki sham sa … MAI LARKA EK AAM SA..

kabhi duniya sa be-khaber … kabhi duniya dari say..
no hoo ranjha … nah QAIS …nah Insha or nah hi faiz hoo

muhbat krna mjhe ata nhi … mubhat mai dhokay khata hua sa..
kabhi kisi bewafa k liya, apni zindagi bujhta hua ,
mai paikr-e-ikhlas sa … MAI EK LARKA AAM SA…

kabhi spanay sanjota hua …kabhi bare bare daway krta hua …
kabhi mazboot ek chatan sa kabhi duniya ko badlana ka janoon sa..

to kabhi ba-bas sa … teri (ALLAH) Qudrat kay agay harta hua sa ..
teray(ALLAH) isharoo pay nachta hua … ek katputli sa ..

… main EK LARKA AAM SA…
merii hasti kya …meri UKAT KYA …