[TABLE]
dayar-e-dil ki raat mein charag sa jala gaya
mila nahi toh kya hua woh shakl toh dikha gaya
judaaiyon ke zakhm dard zindagi ne bhar diye
tujhe bhi neend aa gayi mujhe bhi sabr aa gaya
Yeh subah-o’ ki safediyaa.n, yeh dopahar ki zardiya.n
ab aaine’ mein dekhta hoon, main kahan chala gaya
woh dosti toh khair ab naseeb dushmana hui
woh choti choti ranjishon ka lutf ki chala gaya
yeh kis khushi ki ret par ghamon ko neend aagayi
woh leher kis taraf gayi yeh mai kahan sama gaya
jo aur kuch nahin to koi taza dard hi mile
main ek hi tarah ki zindagi se tang aagaya