main dua karoon ya na karoon
tu jaanta hai main kya karoon
main kis ko sochti hoon
main kis ko khojti hoon
hazaar chehron main
hazaar aankhon main
magar…
na aisa chehra koi hoga
na aisi aankhain kahin milaingee
main usko chahoon na chahoon
tu jaanta hai main kis ko chaahoon
main usko poojti hoon har pal
main usko dekhti hoon har pal
na koi aisi hogee ibadat
na yun koi bandagi karay ga
main usko paoon ya na paaon
tu jaanta hai main kis ko paaon
meri ilteja hai tujh sey faqat itni
zindagi bhar usko hi chaahoon