main dil hoon, eik armaaan bhara, too aake mujhe pehchaan zaraa, main dil hoon eik armaan bharaa.
khyd maine husn ke haathon se, shokhi ka chalakata jaam liya
gaalon ko gulaabon ka rutaba, kaliyon ko labon ka naam diya, naam diya
aankho ko diya sagar gahara, ohohoo…, aankhoko diya sagar gahara, too aake mujhe pehchan zaraa… main dil hoon eik armaan bharaa.
ye sach hai teri mehfil mein, mere afsane kuch bhi nahi
par dil ki daulat ke aage, duniya ke khazane kuch bhi nahin, kuch bhi nahi
yoon mujhko nigahoon se na chura.. ohoho…, yoon mujhko nigahon se na chura, too aake mujhe pehchan zara, main dil hoon eik armaan bhara
(Talat + Roshan +Satyendra)