Sheal
July 17, 2007, 1:24am
1
**Main Daikhna Chahta Hoon
**
Main daikhna chahta hoon
Marnay say zara pehlay
Main ek pal ko daikhna chahta hoon
Ksi jheel k paniyoon main
Jab sooraj doob ker mit jaya kerta hai
To is ki naranji kirnoon main
Mot orhnay ko kaisi hasratain hoti hain
Jo adhooray khwab tootain
In k natamam janay or in k pooray honay ki
Kaisi duain hon gi jo un k lab maangtay hoon gay
Haan main daikhna chahta hoon jana’n
Main akhri saans bharoo’n to
Kon sa pehla khyal or dukh ho ga
Jo tumharay hoontoon per machlay ga
Tumhari aankhoon say tapkay ga
Main daikhna chahta hoon
Marnay say zara pehlay ……… !
Amal
July 18, 2007, 2:14am
2
Re: Main daikhna chahta hoon
**Main Daikhna Chahta Hoon
**
Main daikhna chahta hoon
Marnay say zara pehlay
Main ek pal ko daikhna chahta hoon
Ksi jheel k paniyoon main
Jab sooraj doob ker mit jaya kerta hai
To is ki naranji kirnoon main
Mot orhnay ko kaisi hasratain hoti hain
Jo adhooray khwab tootain
In k natamam janay or in k pooray honay ki
Kaisi duain hon gi jo un k lab maangtay hoon gay
Haan main daikhna chahta hoon jana’n
Main akhri saans bharoo’n to
Kon sa pehla khyal or dukh ho ga
Jo tumharay hoontoon per machlay ga
Tumhari aankhoon say tapkay ga
Main daikhna chahta hoon
Marnay say zara pehlay ……… !
Another beautiful piece Sheal :k: Somehow this one was also missed. And it was missed by others also. Should not have been missed. Guys read it and enjoy it.
Sheal
July 18, 2007, 2:22am
3
Re: Main daikhna chahta hoon
Thanks Amal warna i thought no one like so better not to post anything . :(
Amal
July 18, 2007, 2:24am
4
Re: Main daikhna chahta hoon
I guess ke threads ke flow meiN jaldi next page par chali gai, that’s why…lekin acha piece hey. No doubt about it :k:
Re: Main daikhna chahta hoon
1st 3 lines are hmm not so good but the rest is very nice :k:
Samad
July 18, 2007, 2:56am
6
Re: Main daikhna chahta hoon
is khuwahish ko poora karnay kay liye aaj hi lal masjid administration say rabta farmaiN , aur aglay event ki booking mai apna naam sar-e-farist karwaiN.
Re: Main daikhna chahta hoon
Re: Main daikhna chahta hoon
Very nice :-)