Main bikhar k phir na simat saka....!!

Kabhi mom ban k pighal gya..
Kabhi girte girte sambhal gya..
wo bun k lumha guraiz ka,
mary pass say yonh hi nikal gya
Usay rokta b to kis taraha?
K wo shakhs itna ajeeb tha..
Kabhi tarap utha meri aah se..
Kabhi ashk se na pighal ska!!
Sar-e-rah mila wo agr kabhi,
To nazar chura k guzar gya..
Wo utar gaya meri ankh se
Mere dil se kyun na utar ska
Wo chala gya jaha chor k
Main wahan se phir na palat ska
Wo samabhl gaya Magar ajj tak
Main bikhar k phir na simat saka…!!