Main bahut ro chuka, ab rulaatay ho kyon !

Yaad beetay dinoo ki dilaatay ho kyon
Main bahut ro chuka, ab rulaatay ho kyon

Kab yeh main ne kahaa hai, ho tum Bewafa
Apni majbooreeyan tum bataatay ho kyon

Gar naheen hi kisi ke gunheghaar tum
Apna munh is jahaan se chupaatay ho kyon

Kya milega tumhein raakh ke dhair se
Khaak mein mujh ko aakhir milaatay ho kyon

Surkh hai khoon-e-dil mera, ay sanam !
Apne haathoon mein mehndi lagaatay ho kyon

Dekh kar mujh ko kehta hai yeh, aaenaa
Aankh nam hai tu phir muskuraatay ho kyon

Hoon khatawaar, mein khud chalaa jaaonga
Apni mehfil se tum uth ke jaatay ho kyon

Dostoon ki tarha mat milo, theek hai
Dushmanoo ki tarha paish aatay ho kyon

Jab ay “Saahil” huwa tum se woh Bewafa
Tum bhi apni taraf se nibhaatay ho kyon

:k: bhoot khooooooooooooooooooooob :k:

wohi tu kisi ko ap ka khayal nahi ab aur mut rona keep smilling:)

:)
nice
thxs 4 sharing:)

jabardus:k:

bahot achhi ghazal hai..arif bhai...
thanks for sharing....

Thanks *HeArT HaCKeR , NikamiJano, Nikii, Jaan Lewaa brother and Pramod *! :)

araay na roiye ji eid ka mauka hai zara muskuraye :)

bahut khoob !

aur haan eid mubarak ho aap ko!

very goood :k:

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
araay na roiye ji eid ka mauka hai zara muskuraye :)

bahut khoob !
aur haan eid mubarak ho aap ko!
[/QUOTE]

Lamhay Eid Mubarak aap ko bhi !

Aur baat rone ki nahee, Eid ke maukay per hi tu aksar aansoo nikal partay hain yaad aane per :(

Muskuraanay ki baat kartay ho
Dil jalaanay ki baat kartay ho
:(

Thanks chand_chehra :slight_smile: