Roz jab dhoop pahaDon say utarnay lagti
koi ghat’ta hua baDhata hua bekal saaya
aik deewar se kehta keh merey saath chalo
Aur Zanjeer-e-rafaqat se gurezaaN deewar
apnay pindaar ke nashe main sada eistaada
Khuwahish-e-humdam-dairina pe haNs deti thi
Kaun deewar kissi saaye ke hamaraah chali
kaun deewar hamaisha magar eistaada rahi
waqt deewar ka saathi hai na saaye ka rafeeq
Aur Ab Sang-o-Gil-o-khisht kay malbay ke tale
usi deewar ka pindar hai rezah, rezah
dhoop nikli hai magar jane kehaaN hai saaya