** Main aur Shaitaan **
- Raja Mehdi Ali Khan, 1960 *
Jannat ki deevaar pe charrh ker main aur shaitaan dekh rahay thay
jo na kabhi ham ne dekha tha ho kay hairaan dekh rahay thay
waadi-e-jannat ke baaghon main uff tobah ik hashar bapa tha
shaitaan ke hontol pe hassi thee, mera kaleja kaanp raha tha
main na kabhi bhooloon ga tobah mainay dekha jo nazzaara
laanat! laanat! bol raha tha jannat ka har manzar pyaara
motay motay paiton waalay, bad-soorat bad-hayyat mullah
sehmi hui hooron ke peechay bhaag rahay thay keh ke HaHa!
bach ke kahaan jao gee? keh ke, wo deewaanay naachtay gaatay
chaaron taraf se ghair ke un ko, hanstay kudaktay shor machaatay
dar ke cheekhain maar rahi theen hoorain reshmi sarrhiyon wali
un ke dil dhak dhak kertay thay dekh ke shaklain darrhiyon wali
main aur shaitaan lab-ba-dua thay, ai allah bachana in ko
apni rehmat ke parday main ai ma’bood chhupana in ko