main aur meri bekhudi ab teray naam hay,
meri tamaam zindagi ab teray naam hay.
socha tha zindagi ka safar tanha karain gay,
iss zindagi ki har khushi ab teray naam hay.
logon ki baat dil pe na lena kabhi sanam,
meri toe sans akhri ab teray naam hay.
jalnay do inko jalnay ki aadat hay purani,
main aur meri dosti ab teray naam hay.
hum say wafa karo na karo jan-e-tamanna,
apni toe sari zindagi ab teray naam hay.
ehsas zindagi ka mujhay denay walay sunn,
lamha meri ghari meri ab teray naam hay.
na faasla koi hay na deewar-e-dushamanaan,
yeh chaand aur yeh chandni ab teray naamhay.
Dilsay
2
main aur meri bekhudi ab teray naam hay,
meri tamaam zindagi ab teray naam hay.
Zabar dast kiya baat hai
Thanks
Dilsay,AsSweetAs,Anchaal and Amarbail.
Re: ~ main aur meri bekhudi ab teray naam hay ~
thats funny
nice poem 
SuraJ
8
bahut Umda MQ thank u 4 sharing :)
SuraJ
11
MQ ki itni achi poem our aap ney sirf muskura di not fair 
Re: Re: ~ main aur meri bekhudi ab teray naam hay ~
hmmm funny kun?
Btw ty for liking.
Bohut shukria SuraJ ,HH and Koyal.
(Suraj, Koyal nai poem pari hai ,even ye bhi kaafi hai:flower2: )