Hi guys once again Attia is sharing one of her fav poems with u guys.. ofcourse from my dairy/diary i know many of u might have heard aur for ppl who havent heard it hope u guys will like it
Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai
Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main meri tanhai
Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai
Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai
Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai
Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai
Phirtay hain kub saay dur badar
Kabhi iss nagar ab uss nagar
ik dosraay kay hamsafar
main aur meri Awaargee..
Na ashna hur rahghuzar
Na meharban sub kee nazar
Jain tuo jain Ab kidhar
main aur meri Awaarge
Ik din milli ik nazneen
Dil nay kaha hum ko wahain
Khaboon kee duniya hai yahiab
Phir youn hoya woh kho gai
Aur mujh ko zid see ho gai
Lain gaay iss ko dhoond ker
Main aur meri Awaarge