main aisi muhabbat krta hun ?

ranja b nahi hon majno b nhi hon

main farhat nhi saleem b nhi

wo qissa hon afsana hon

wo geet hon preem tarana hon

main zinda ek haqiqat hon

main jazba_e_ishq ki shiddat hon

main tum ko dekh k jeeta hon

main har pal tum pay marta hon

main aesi mohbat krta hon

tum kaisi mohabat krti ho ?

jab hath dua ko uthte hain

alfaz kahen kho jate hain

bas dhihan tumhra rehta hay

or aansu behte rehte hain

har khuwab tumhara pura ho

us rab se minnat krta hun

main aesi mohabat krta hon

tum kaisi mohbat krti ho ?

mujhe thandak raas nahi ati

mujhe barish se khof ata hay

per jis din se maloom hua

ye mosam tum ko bhata hay

ab jab b sawan ata hay

barish main bheegta rehta hon

main asi muhabat krta hon

tum kasi mohbat krti ho ?

be ronk hay tasveer meri

tum khuwab mera tabeer meri

tum se hay juri taqdeer meri

jo khaak tum ko choo jati hay

us mitti pay main parta hon

main aisi mohbat krta hon

tum kaisi mohbat krti ho ?

Re: main aisi muhabbat krta hun ?

Nice

Re: main aisi muhabbat krta hun ?

thnx UZ

Re: main aisi muhabbat krta hun ?

nice

Re: main aisi muhabbat krta hun ?

nice

Re: main aisi muhabbat krta hun ?

thnx khan shab

Re: main aisi muhabbat krta hun ?

:lajawab: vvv nice …

Re: main aisi muhabbat krta hun ?

thnx sara g

Re: main aisi muhabbat krta hun ?

Zabardast … :k: