***kitne saal rul jaatay,main agar nahi hota
kis ki umar ban paatay,main agar nahi hota
mujh se pehlay jo kuch tha,mujh se baad jo kuch hay
dono katt k reh jaatay,main agar nahi hota
jo bhi naqsh daaiim tha,mera khoon laazim tha
rang kaise bhar paatay, main agar nahi hota
saans mere hissay k,lafz mere qissay k
roop kis tarha paatay,main agar nahi hota
farz gar huzoori tha,phir to main zuroori tha
hukum kis pe farmaatay,main agar nahi hota***