…So sharing ma another new creation ![]()
Main akela chala tha..
zindagi ki raaho main
aurr tanhaai mre
saath saath rwaan thi
kuch naaii umange theen
aurr rooh jaawa thi
josh thaa jawani ka
hosh tha naadani kaa
main tanhaa musaafir tha
ye naii musaafat thii
mushkilen uthaanay ki
mujhme abhi taaqat thii
manzilo ko paana thaa
raasta bahanah tha
raah-e-safar main mri
log miltay chalay gaye
kaarwaa banta gaya
har naaye morr p
meherbaa milta gaya
sang kaarwaa ke main
manzilo ki orrr thaa
manzilo ke josh main
kuch sago se door thaa
kis jagah tha main kabhi
kis jagah nikl gaya
naye raqeeb paal ke
kis qadar badal gaya
hosh mujhko naa raha
main kidher ko jaa raha
kiya yaad reh gaya
aurr kia bhulaa raha
peechay kaun reh gaya
kaun saath chal diya
kaun maira aap tha
kisko ikhtilaaf tha
kaun maira piyaar tha
m’kisay nagawaar tha
main sab bhulaa baitha
kia kia ganwa baitha
haalat-e-diwaan-gi
sang baygaan-gi
naye raqeeb baaho main
jo milay thay raaho main
raastay ko tay kiya..
manzilo ko paaliya
yaad mujhay phir aaya
chora kia, kiya paaya,
ird gird kiii nazar
koi naa tha hamsafar,
ye wo manzil thiii jahan
theher jaana tha mujhay
haan magar yehi manzil
auron ki kyunker hogi
unko bhi to jaana tha
apni manzil paana tha
raastay ka saath thaa
raastay main kat gaya
kaarwa jo thaa maira
raastay main butt gaya
janib-e-manzil chala
mujhay tanha kar gaya
abb sochta hun main
kaash aisa naa hota
to main aisaay naa rota
manzilo ki khuwahish main
apnaay naa bhulaata main
khalish aaj dil main hay
keh biina raqeebo ke
kia rakhha manzil main hay!!
paakay apni aarzu,
main nain sab kuch paaliya,
aaj sochta hun ke…
…main adhoora reh gaya!!!