Mai nay is tou say chaha tujhe aksar jaana

Mai ne is tour se chaha tujhe aksar jaanan
Jaisay mehtaab ko bay ant samandar chahay
Jaisay sooraj ki kiran seep k dil mein utray
Jaisay khusboo ko hawa rang se har ker chahay

Jaisay pathar ke kalejay se kiran phoot’ti hay
Jaisay ghunche khilay mousam se hina mangte hain
Jaisay khawbon mein khialon ki kamaan toot’ti hay
Jaisay barish ki dua abla paa mangtay hain

Mera her khawb mere her sach ki gawahi day ga
Wus’at e deed ne tujh se teri khawhish ki hay
Meri sochon mein kabhi daikh sarapa apna
Mai ne dunia se alag teri parestish ki hay

Tey tou yeh tha keh sajata rahay lafzon k kanwal
Mere khamosh khialon mein takallum tera
Raqs kerta rahe,bharta rahe khushbhoo ka khumar
Meri khawhish k jaziron mein tabassum tera

Tu magar ajnabi mahoul ki parwerda kiran
Meri bujhti huwi raaton ko sehar ker na saki
teri saanson mein maseehai tou thi laikin
Chehra e zakhme ghum deeda e tar ker na saki
**Tujh ko ehsaas hi kab hay keh kisi dard ka daagh **
Aankh se dil mein utar jaye tou kia hota hay
Tu keh seemab tabiyat hay tujhe kia maloom
Mousam e hijr thaher jaye tou kia hota hay

Tu ne us mor pe tora hay ta’alluq keh jahan
Daikh sakta nahi koi bhi palat ker jaanan
Ab yeh aalam hay keh aankhain jo khulain gi apni
Yaad aaye ga teri deed ka manzar jaanan
Mujh se maangay ga tere ehad e muhabbat ka hisaab
Tere hijran ka dehakta huwa mehshar jaanan
Yun mere dil k baraber tera ghum aaya hay
Jaisay sheeshay k muqabil koi pathar jaanan!!!

“Mohsin Naqvi”

Re: Mai nay is tou say chaha tujhe aksar jaana

1Nabiha ji.... Apka Zauq Aur Intekhaab Subhanallah.

Achhi aur Aik Sail Rawaan Nazm.... bari purasr...bari sachhi...
sahab e qalam aur aap, dono ko mubarak ho.

Please, Intekhab main, humsabko..Shair Ka Naam Zaroor Dena Chahiye, this should be our moral duty,
yeh hukm nahi guzarish hai, agar aap khud qalamkaar hain to kiya aapko achha lagega ke koi aapka kalaam baghair apke naam ke saath post kare, agar kisi ko bura lage, ya etaraaz ho to peshgi maazrat.

darwesh

Re: Mai nay is tou say chaha tujhe aksar jaana

pasand kernay ka buhat shukria darwesh,, nahi aisy koi baat nahi , aap theek kehtay hain. yeh Mohsin Naqvi sahib ka kalaam hay. waisay mai edit ker daiti hoon.. Again thanks,

Re: Mai nay is tou say chaha tujhe aksar jaana

Mohtarema...

Guzarish aur Tajweez qubool karne ka shukriya.

darwesh.

Re: Mai nay is tou say chaha tujhe aksar jaana

cool

Re: Mai nay is tou say chaha tujhe aksar jaana

Buhat zabardast a piece of poetry which i like most forever Thanx alot of posting it.