mai.n ne dekhaa diivaano.n ko shaam ke baad

main ne dekhaa diivaanoan ko shaam ke baad
dhuu.NDh rahe the viiraano.n ko shaam ke baad

taariikii phir saare aib chhupaa legii
le aanaa ghar mahamaano.n ko shaam ke baad

mai.n ne us kaa sog manayaa kuchh aisaa
Khaalii rakhaa paimaano.n ko shaam ke baad

yaad kare jab mujh ko terii tanhaa_ii
dekhaa karanaa gul_daano.n ko shaam ke baad

“Farhat” chaa.Nd ke Khauf se kar letaa huu.N band
kamare ke raushan_daano.n ko shaam ke

lajvab kavish hai :k:

thanx

Re: mai.n ne dekhaa diivaano.n ko shaam ke baad

[QUOTE]
*Originally posted by ameen: *
main ne dekhaa diivaanoan ko shaam ke baad
dhuu.NDh rahe the viiraano.n ko shaam ke baad

taariikii phir saare aib chhupaa legii
le aanaa ghar mahamaano.n ko shaam ke baad

mai.n ne us kaa sog manayaa kuchh aisaa
Khaalii rakhaa paimaano.n ko shaam ke baad

yaad kare jab mujh ko terii tanhaa_ii
dekhaa karanaa gul_daano.n ko shaam ke baad

"Farhat" chaa.Nd ke Khauf se kar letaa huu.N band
kamare ke raushan_daano.n ko shaam ke
[/QUOTE]

Masha Allah....

One from him also...

Tu nay dekha kabhi ak nazar sham kay baad
Kitnay soonsan lagtay hain shajar sham kay baad
Itnay choop chap ka rastay behi rahay gay la ilam
Ak din choor jaian gay tara nagar sham kay baad..

Beautiful :k::k:

bohat khoob!

thanx

very nice :k: