mai is umeed pe dubaa ke

maiN is ummiid pe Duubaa ke tuu bachaa legaa
ab iske baad meraa imtihaan kyaa legaa

ye ek melaa hai, vaadaa kisii se kyaa legaa
dhalegaa din to har ek apnaa raastaa legaa

maiN bujh gayaa to hameshaa ko bujh hi jaauuNgaa
ko’ii chiraagh nahiiN huN jo phir jalaa legaa

kalejaa chaahiye dushman se dushmanii ke liye
jo be-amal vo badlaa kisii se kyaa legaa

hazaar toR ke aa jaauuN us se rishtaa “Waseem”
maiN jaantaa huN vo jab chaahegaa bulaa legaa

Waseem Barelvi

Re: mai is umeed pe dubaa ke

maiN bujh gayaa to hameshaa ko bujh hi jaauuNgaa
ko’ii chiraagh nahiiN huN jo phir jalaa legaa

waahhh..!!!!

Re: mai is umeed pe dubaa ke

Its Good.

Re: mai is umeed pe dubaa ke

thank u doston!


Re: mai is umeed pe dubaa ke

very nice

Re: mai is umeed pe dubaa ke

[FONT='Times New Roman']hazaar toR ke aa jaauuN us se rishtaa “Waseem”[FONT='Times New Roman']
[FONT='Times New Roman']maiN jaantaa huN vo jab chaahegaa bulaa legaa[FONT='Times New Roman']

[FONT='Times New Roman']bahut khoobsoorat

[FONT='Times New Roman']
[FONT='Times New Roman']

Re: mai is umeed pe dubaa ke

[FONT='Times New Roman']hazaar toR ke aa jaauuN us se rishtaa “Waseem”[FONT='Times New Roman']
[FONT='Times New Roman']maiN jaantaa huN vo jab chaahegaa bulaa legaa[FONT='Times New Roman']

zbardast bahut khoobsooorat

Re: mai is umeed pe dubaa ke

nice thanx for sharing