mai hud say hoo agay to woh imkaan say bhi agay

mai hud say hoo agay to woh imkaan say bhi agay
ankhoo’n mai hai lakin meri pehchaa’n say agay

sochoo’n mai bhi goonjay hai khyaloo’n mai bhi agay
khushboo si hai lakin kisi guldaan say bhi agay

mai dil say parhoo’n usko to ata hai samjh mai
warna hai woh harfoo’n mai bhi juzdaa’n say agay

lehray jo daraye to mai kashti bhi jala dou
is naam ko layjaoo mai toofa’n say bhi agay

Re: mai hud say hoo agay to woh imkaan say bhi agay

ketna age heyn? kea 100 metr race jetne ke koshis he:D

Re: mai hud say hoo agay to woh imkaan say bhi agay

wow nice sharing :)