Mai aur Shaitan dekh rahay thay

Jannat ki deewar par char ker mai aur shaitan dekh rahay thay
jo na kabhi hum nay dekha tha ho ker hairan dekh rahay thay

wadi-e-jannat kay bagho may uff! tobah ik hasher bepa tha
shaitan kay honton pay hansi thi mera kaleja kamnp raha tha

may na kabhi bhuloon ga tobah mai nai dekha jo nizara
lannat!lannat! bol raha tha jannat ka her manzer pyara

moti moti tondo walay badsurat , badhaiyat Mullah
khuafzada huron ka peechay bhaag rahay thay kah kay HAHA!

“bach ker kahan jao gi”,keh ker woh deewanay nachtay gatay
charron tarraf say ghair ker un ko hanstay ,kudaktay,shor machatay

der ker cheekhain mar rahi thi hurain rashmi sarhion walia
un kay dil dhak dhak kartay thay dekh ker shaklain darhion wali

may aur shaitan lab ba dua thay “aay ALLAH bachana in ko”
Apnay rahmat kay parday may aay Mabood chupana in ko"

                                  RAJA MAHDI ALI KHAN