Main ab tum ban gai hoon
Ungliyan mere,
jab bhi likhain,jahan bhi likhain
Naam tumhara hi likhte hain
Zubaa meri
jab bhi bole,jahan bhi bole
Zikr tumhara karti hain
Sans meri
jab bhi aate hai laboun tak
deti hai tere “khushboo”
Zindagi meri
ab tu karte hai
sirf teri arzoo
Tujh ko
muskurate dekhoon jab
Main hans parti hoon
tujh ko
afsurda dekhoon jab
Main bhi ro parti hoon
Ankhoun main hai aks tumhara
Dil main hai gher tumhara
Mujhay lagta hai jaisay
"main"ab “main” nahin rahi
“Tum” ban gayi hoon