mahmaan ya azaab-e-jaan!

Humaray ghar par mahmaan aai huay hain..suna tha kah ek din rahain gay..magar ab tou azaab hogaye hain..jaa kar hi nahi day rahay :smack:
unki wajah sey saara routine kharab hogaya hai..deyr tak jaagna raat ko, phir ya tou jaldi uth jana subah ko ya phir 12 ya ek bajay tak uthna :hoonh:

Koi tareeqa nahi hai kah unko bhagadia jai..kisi nay bataya unkay peechay namak chirak do tou chalay jain gay..aisa kia magar woh qiston main gaye pahlay unki beti, phir 2 betay aur ab 2 banday aur rahtay hain :-S

phir kisi nay bola piyaaz matlab onion rakh do..woh rakha magar yuckkkk pooray ghar main onion ki smell phail gayee..:frusty1:

ab aisa kya karsaktay hain???

Re: mahmaan ya azaab-e-jaan!

mujhe koi tarkeeeb nai ati hay :bummer:

Re: mahmaan ya azaab-e-jaan!

^
pahlay yeh batao tum larka ho ya larki? :konfused:

Re: mahmaan ya azaab-e-jaan!

I feel sorry for you :bummer: Hamare ghar bhi mehmaan ayai thay last year aur aise mehmaan thay jinko dekhtay hi mujhe 600 degree ka bokhar hogaya :bummer: Waise I don’t mind guests but insaan to hoon na :cb:

Re: mahmaan ya azaab-e-jaan!

dont u know :bummer:

Re: mahmaan ya azaab-e-jaan!

^
i dont know really..avatar tou larki ka hai…aur title larkon ka..:konfused:

mama ki dua: oh yeah..i dont mind agar guests aain..magar aisay chipkoo guests ko main bardasht nahi karpaatee :hehe:

oh oh i know i know umm u can act s if u ko flu he :slight_smile: 4,5 baar cheenkon unke moonh pe ryt when someone going to drink water khanso aur ushi glas se pani pe lo n when someones eatn u can uske peeche jake sneeze lolz :rotfl: its 4pm now theyll leave b4 dinner

and what about my MSN ID jaha par mera naam hay and u have also added :hoonh:

Re: mahmaan ya azaab-e-jaan!

:(

:snooty:

magarmach k ansu

:barbie:

Re: mahmaan ya azaab-e-jaan!

Unke khanay main mircheen dalo had se ziyada :p

Re: mahmaan ya azaab-e-jaan!

Rona sheeroo kar do aur kaho ; ab toh aap ain gay hee nahi
woh pochain
kion
toh kahna kay
jub aap jain gay hee nahi toh ain gay kaisay