"mahfil meN ham se ... "

aadaab, dosto!

Parveen Shakir kii shaairii kaa maiN ek arse se maddaah rahaa huuN. haal hii meN un kaa majmuua-e-kalaam :maah-e-tamaam: paRhne kaa ittifaaq huaa. saath hii isii unvaan kaa ek video cassette bhii dekhaa jis meN un ke mushaaire aur interviews shaamil haiN. is ke baad mere nazdeek ek shaairah aur insaan ke taur par un kii saakh aur baRh gayii hai. aaj kii Ghazal un ko Khiraaj-e-tahseen hai. mulaahizah farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.

**Ghazal

mahfil meN ham se aap jo be.baak ho gaye
saare raqeeb jal ke vahiiN Khaak ho gaye

us chashm-e-be.niyaaz ko maaluum hii nahiiN
us ke tufail kitne jigar chaak ho gaye!

vaaiz! bhale bure kii tameez, aur vo hameN?
deevaane kab se saahib-e-idraak ho gaye?

the zahn-o-dil gunaah-e-Gham-e-jaaN ke murtakib
guzre jo raah-e-ishq se to paak ho gaye

jis din se raah.bar pe kiyaa ham ne aitbaar
pur.amn raaste bhii Khatar.naak ho gaye

dhokoN pe dhoke khaaye jo dunyaa se, dosto!
ham jaise saadah.lauh bhii chaalaak ho gaye

armaan.haaye-dil kaa muqaddar yahii hai kyaa?
Ghunche the aur phir Khas-o-Khaashaak ho gaye

nishtar kii tarha dil ko kare haiN ye laKht laKht
yaanii tire Khayaal bhii saffaak ho gaye!

:Waseem: kisii kii yaad ne sargoshiyaaN jo kiiN
:lahje havaa-e-shaam ke nam.naak ho gaye:

Waseem Ahmed**

wow gr8 stuff

my fav. poet bi yahi hein

kee going

ta ta:wave:

Waseeem bhai. :k: OutStanding.

Sirf Akhri shair maiN aapka takhalus wazan kharab kar raha hai :frowning:

marjhaye pat’tiyoN ki tarha thay paRay hue
paRh kar ghazal ye, hum bhi gul-e-taak ho gaye :wave:

nice :k:

Ghazal kii pazeeraaii ke liye mamnuun huuN aap sab ka. bahut bahut shukriya!

BM Lalay mujhay tu sab set lag raha hai :)

*dhokoN pe dhoke khaaye jo dunyaa se, dosto!
ham jaise saadah.lauh bhii chaalaak ho gaye *

nice1 .. :k: ..

*jis din se raah.bar pe kiyaa ham ne aitbaar
pur.amn raaste bhii Khatar.naak ho gaye

:Waseem: kisii kii yaad ne sargoshiyaaN jo kiiN
:lahje havaa-e-shaam ke nam.naak ho gaye:
*

Zabar10 :k:

thx for shairn :flower1:. ..

Thanx Ghazal !

Thanx HH Jee :flower1:

Waseem sahab,

bahot hii achhi ghazal likhii hai aap ne. Padh kar maza aa gaya.
daad kubul kijiye aur yuN hii likhte rahiye.............

[QUOTE]
*Originally posted by Pramod: *
Waseem sahab,

bahot hii achhi ghazal likhii hai aap ne. Padh kar maza aa gaya.
daad kubul kijiye aur yuN hii likhte rahiye.............
[/QUOTE]

Pramod Bhai pazeeraaii ke liye mamnuun huuN. bahut bahut shukriya!