“Magar mujjhay tum say muhabat to na thi”
Teray naam kay baad naam jo apna maiN nay likhta tha,
Magar is ka ya matlb to na tha kay maiN tumhara hoon!
Tujjay jaan-e-jahaN to kaha tha lakIn tum jaan to na thi meri
Mujjay muhabat to tum say na thi..
Tera intazar to maiN kiya karta tha pehrooN magar
Mujjay tum say muhabat to na thi…
Baat jo ghanooN tum say kiya karta tha, sunta tha tumhaiN
Yaad tumhaiN karta tha maiN magar muhabat mujjay tum say na thi
kabhi betha tujjay likha bhi karta tha, kabhi sochta bhi to tha tujjhay
Magar nahiN to muhabat to nahiN thi mujjhay tum say
Tum rooti to tumhaiN ronay na deta, udass hoti to maiN bhi hojata
TumhaiN hansata tha maiN kesy kesy, magar muhabat nahiN hay…
Tum keh kay jaab na ati to maiN peraishan sa ho jata
Ajeeb si beqarai hojati thi mujjhay, magar muhabat nahiN thi mujjay tum say..
Tum ati to maiN youn hojata jesy najany kiya mila ho, kitni khushi mili ho
jaab jana hota to dill na chahta tha kay jaooN, magar jana paRta tha…
Aksar jaab tum sawal karti thi mujj say to maiN khamosh rehta tha
Dekhta tha tum kiya kehti ho, tumhaiN na janay kioN maiN azmata tha…
Khood ko bhi to azmata tha, kitna door tum say ho jo hota tha…
Kabhi ji maiN ata tum say buhat bataiN karooN, tumhaiN kiya kooch bataooN
Magar koi cheez thi darmiyaN maiN jo mujjay rookti thi…
Magar mujjay muhabat nahiN thi tum say…
![]()
By Subha.