mujhay tum say mohabbat hai
magar kahon kaisay
han jab kabhi pholon ko pyar karon
chaand ka intizaar karon
hawa k saath chalon
pani say baat karon
to jaan laina
mujhay tum say mohabbat hai
magar kahon kaisay
saahil ki dehleez par
hawa ki lakeer par
kuch likh kar mita don
tum say khud ko chupa don
to jaan laina
mujhay tum say mohabbat hai
magar kahon kaisay
kabhi hans k bolon
kabhi dukh bhula don
kabhi yonhi baithay baithay
khud ko saza don
to jaan laina
mujhay tum say mohabbat hai
magar kahon kaisay
kabhi rah me milo to
aik jhalak dekh kar
gardan jhuka don
nafi main sir ko hila don
to jaan laina
mujhay tum say mohabbat hai
magar kahon kaisay
kabhi hanstay hanstay
ansoo baha don
kabhi rotay rotay
tum ko dua don
phir apni baqi ratain
kuch yonhi bita don
to jaan laina
mujhay tum say mohabbat hai
magar kahon kaisay
dunya ki har nazar pe me chonkon
tab tumha har pal bay sukoon dekhon
tumhay kar kay abaad
saray dukh main jhailon
tumharay lye har musebat ko seh lon
to jaan laina
mujhay tum say mohabbat hai
magar kahon kaisay
lo waqt-e-nazaa
aa he chala hai
lehed me utarnay ko
kuch waqt bacha hai
iss samay tum ko main kia don
jab apni naikyaan
tumko bakhshwa don
TO JAAN LAINA
MUJHAY TUM SAY MOHABBAT HAI
MAGAR KAHOON KAISAY