http://www.paklinks.com/gsmedia/files/12951/magar_ay_mehram-e-hasti.gif
Re: magar aey mehram-e-hasti–
U larkien Rasm-o-riwaj ki waja se dono zindagi barbad kar deyti ho
- apni zindagi
- jis se pyar karti ho us ki zindagi.

Re: magar aey mehram-e-hasti--
Ye nazm to nahi hey, shaed kahaani hey, sab ki...lekin aazaab ki ye daastaan bohat khoosboorat andaaz meiN bayaan ki gai hey ... lekin larkiyaaN hi kiuN... Rasm-o-riwaj qaanoon ki dewi ki tarhaN andhey hi to hotey heiN.
** Ek pagal pagal si larki dil toornay se darti thi
har pal har lamha khud se woh jhagarti thi
aansoo kyn aye kisi ankh main
mujrim khud ko samujhti thi
ghuut ghuut K jeeti rehti thi har saans ulajhti rehti thi... Mostra tutto
sOu baar kaha aaay nadan larki dunya ko dekhna choor de
khud se ulajhna choor de
pal pal bikherna choor de
yahan haa...ssass dil tou koi nahiii
yahan nazuki say kaam Na lay
yahan pather banna parta hai
yahan rehumdilli say kaam na lay
sOu baar kaha par kaisay nasamjhi
dunya ko sub samujhti thi
phir wohi hua jo hona tha
dil toota uska jiska ussay roona tha
bharosay Ki deewar girri
sard lehji haar baar mili
phir simat gaye apni zaat main
tamaam dukhon ko samaitay Anchal main
ankhon main jazbaat nahi
pahlay say halaaat nahi
farq srif Itna hua khud apni zaat ko toor dia
tanhaaiyOn se rishta jorr dia
phir tanha tanha rehni lagi
phir khud ko pather kahnay lagi
woh ik pagal pagal si larki
jo dil toornay se darti thi
**
Re: magar aey mehram-e-hasti--
true one
Re: magar aey mehram-e-hasti–
Good Ones GuL-e-Tasbeeh & Babri..:k: