Mae bhool jaon tumhein ab yehi munasib hai
Mgr bhulana bhee chahoon tu kis tarah bhuloon
Kay tum tu phir bhee haqeeqat ho koi khwaab nahi
Yahan tu dil ka ye aalum hai kia kahoon
Bhula saka na ye wo silsila, jo tha hee nahi
Wo ik khiyaal jo awaaz tuk gaya hee nahi
Wo aik baat jo mae keh nahi saka tum se
Wo aik rubt jo hum mein kabhi raha hee nahi
Mujhe hai yaad wo sub jo kabhi howa hee nahi
Agr ye haal hai dil ka tu koi samjhaay
Tumhein bhulana bhee chahoon tu kis tarah bhuloon
Kay tum tu phir bhee haqeeqat ho koi khwaab nahi *